Zirwa aur Humza akathay university main pertay thay. Dono class fellow thay. Dono aik dosray ko pasand kertay thay. Dono ka taluq azad khayal garano say thaa. Esse liyay dono nay ghar main apnay mustaqbil kay baray baat nahi ke thee. Dono nay soach rakha thaa kay Masters kernay kay foran baad ghar baat keray gay aur shaadi ker lay gay.
Dono ganto baeth kay suhanay mustaqbil kay khaab buntay rehtay thay. Zirwa ko pernay ka kuch zayadaeh he shoak thaa. Woh chaahti thee kay masters kernay kay baad M.Phill keray ge aur phir Ph.D. Humza ka eraada thaa kay woh masters kernay kay foran baad apnay daddy ko join ker lay ga family business main.
Humza say yeh bardaasht nahi hota thaa kay woh Zirwa say aik lamhay kay liyay bey khabar hu. Dono university main jatay apnay time say pehlay thay leaqin waapis bohat late aatay thay. Baaqi ka sara din messaging ya calls ke jati. Zirwa ko Humza ka aesa rawaeya acha lagta thaa. Woh us say aksar poachti rehti thee kay kya woh typical mardo ke tarah badlay ga tu nahi? Humza kehta thaa her beta howa lamha meray dil main tumhari mohabbat berhata hai. Main khud say begana hu sakta hu leaqin tum say nahi. Meray din ke ibtada tum say aur ekhtataam be tum he say hota. Tum say hamesha aaj ke tarah pyar aur us ka ezhaar keru ga. Zirwa Humza ke aese baatain sun ker nihaal hu jati thee. Dono nay saath jenay mernay ke qasmain khae thee.
Qismat kay khael koe nahi janta. Hota wahi hai ju Khuda chaahta. Ensaan kuch soachta hai aur hota kuch aur hai. Es say pehlay kay Humza ka masters ka result aata aur woh ghar baat kerta, aik din us kay mummy nay ussay bataya kay un logo nay us ka rishta taa ker deya hai. Humza nay magher mummy… Tu us ke mummy kehnay lagi kay magher wagher kuch nahi. Humain pata kay humara beta ferma bardaar hai esse liyay hum nay tumhara rishta tumhay bataey beghair taa ker deya. Shaadi kay cards taqseem kiyay ja chukay hain aaj.
Humza sakht pershaan thaa aur us nay Zirwa say es topic pay baat ke. Zirwa nay kaha kay woh apnay maa baap ke ezat per aanch na anay day. Us kay baad us nay phone band ker deya leaqin apnay aanso na roak paye. Zirwa apnay totay howay dil kay saath dosray shehar mazeed pernay chali gae.
Humza ke shaadi ko sirf 2 saal howay thay us ke biwi car accident main mer gae. Humza pershaan rehta thaa aur dosray shehar chala gya thaa. 1 din us ke bazar main Zirwa say mulaqat hu gae. Dono nay aik dosray kay baray poacha tu Humza nay bataya kay us ke biwi mer gae hai. Zirwa nay kaha kay us nay shaadi he nahi ke. Yeh qismat kay khael thay kay woh dobara phir mil gay thay aur phir dono nay shaadi ker le.