skip to main |
skip to sidebar
Dosti ka pehala paigaam aapke naam,
jindgi ki aakhri saans aapke naam,
rahe salamat yeh dosti apni,
ise salamat rakhana aapka kaam.
`
Har karz dosti ka ada kaun karega,
jub hum hi na rahenge tho dosti kaun karega,
Aye khuda, mere dost ko salaamat rakhna,
varna mere jeene ki dua kaun karega!
`
Har dua kubul nahi hoti,
Har aarzu puri nahi hoti …
Jinke dil me aap jaise dost rehte ho,
Unke liye dhadkan bhi jaruri nahi hoti….
`
Haquiqat mohabbat ki judai hoti hain.
pyar may to sirf ruswai hoti hain.
hamari taraf haath bada kar to dekho.
dosti may kitni sachaai hoti hain.
`
Dil me tumhare apni kami chood jayenge,
Ankhome intezar ki lakir chood jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahoge hame,
Dosti ki aisi kahani chood jayenge.
Har koi pyar k liye tadapta hai….
Har koi pyar k liye rota hai….
Ae dost ye dosti sada kayam rakhna…
Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he hota hai…
`
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya
Yun to har sham umedon mein guzar jaati hai
Aaj kuch baat hai jo sham pe rona aaya
`
Tum hanso to khusi mujhe hoti hai,
Tum rodo to aankhein meri roti hain.
Mehsoos kar ke dekh lo…..
Dosti aise hi hoti hai…
`
Geet ki zaroorat mehfil mein hoti hai
Pyar ki zaroorat dil mein hoti hai
Bin dosti ke adhuri hai yeh zindagi
Kyunki dost ki zaroorat har pal mehsus hoti hai
`
Har rishtonke mukaam nahin hote…
Dil ke rishtonke koi naam nahin hote……
Paaya hai Aapko dil ki roshni se……….
Aap jaise dost kisike liye Aam nahin hote…….. .
`
Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh Dosti hume umar bhar chahiye.
`
Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek saman hoti hai.
`
Zindagi me Jab Maayus hue Hum…..
To Socha k kya paaya kya khoya…….
Khone ka to hisaab na laga paaye…
Yaad raha to bas itna…ke…
Zindagi se bhi pyara..Aap jaisa Ek dost Paaya…
`
Safar lamba hai dost banate rahiye,
Dil mile na mile haath badate rahiye,
Taj na banaiye costly padega,
Har taraf Mumtaj banate rahiye.
`
Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha…
Mila wo dost mujhe shabnam ki tarah
jiski nami se hum phisalte gaye
aur jiski tareeki mein hum jeete gaye
aur jab jaanake wo tareeki mein hai
to jal kar use roshni di samma ki tarah…
To all my very good friends…
Har Koyi Pyar Ke Liye Tarapta Hai…
Har Koyi Pyar Ke Liye Rota Hai….
Mere Pyar Ko Galat Mat Samajh Na….
Pyar To Dosti Mein Bhi Hota Hai.
Aapka Aasiya Dil Mein Basa Rakha Hain,
Aap Kee Yaado Ko Sine See Laga Rakha Hain,
Pata Nahi Aaphi Kee Kyu Aati Hain,
Dost To Maine Auro Ko Bhii Bana Rakha Hain…
Zindagi Ko Ek Rangin Kalapna Samjho
Subah Ko Sach Raat Ko Sapnaa Samjho
Bhulna Chahte Ho Sabhi Ghumo Ko To
Zindagi Me Dosto Ko Apna Samjho..
`
Aasmaan Humse Naraaz Hain
Taaron Ka Gussa Behisaab Hain
Woh Sub Humse Jalte Hain Kyun Kee
Chaand Se Behtar Dost Hamare Paas Hain…
`
Ye Dua Hai Hamari Bite Sukh Se Jindagi Tumhari
Dost Muje Pyari Hain Teri Yari
Jiske Liye War Sakta Hun Duniya Sari…
`
Tum Hamesha Khush Raho, Aisi Wish Hain Hamari
Or Aage Badhate Raho, Aisi Dua Hai Hamari
Tum Jaha Bhi Ho Jaisi Bhi Ho
Ek Din Hame Dhundh Pao, Aisi Khwaish Hai…
`
Rishto Ki Kitab Ka Cover Hai Aapki Dosti
Aapki Dosti Se Bani Hai Humari Hasti
Khun Ke Rishto Ki Baat Aap Karte Hai
Humare Liye To Zindagi Hai Aapki Dosti…
Dosti Aisi Karo Ke Duniya Dekhti Rahe
Dosti Aisi Karo Ke Duniya Dekhti Rahe
Aur Khuda Bhi Ake Tumse Puchhe
Kya Mujse Dosti Karoge?
Baat Woh Karo Jo Auron Ko Achhi Lage
Shayari Woh Likho Jo Dil Ki Hatal Baya Karen
Dost Aese Banao Jo Gum Mei Sine Se Lage
Pehchan Woh Banao Ki Jane Ke Baad Bhi Log Yaad Karen…
Har Koi Pyar Ke Liye Rota Hai
Har Koi Pyar Ke Liye Tadapata Hai
Mere Dosti Ko Galat Mat Samajana
Pyar To Dosti Me Bhi Hota Hai ……
Doston ko bhul ne walo mein se hum nahi,
Sath chod ne walo mein se hum nahi,
Ye dosti to hum umar bhar nibhayenge,
Kyuki wada todne walo mein se hum nahi…