Main tum say nafrat kerta hu! Kosta hu main us waqt ko jub main nay tumhari badsorat shakal dekhay beghair shadi kay liyay hai ker de thee. Hahaha! Mummy! Kitna maza aata bhaee kay kaan bernay ka. Petya tu aap aur main khoob perha kay bejtay hain aur yaqeenan Faheem bhaee bhabhi say lartay be hu gay leaqin itne aahista awaz main lertay hain kay hum dono ko un kay bedroom kay derwazay pay kharay honay kay baawajood un kay lernay ke awaz nahi aati. Bedroom kay ander bilkul ult sceen hota thaa. Awaz baahir es liyay nahi aati thee kyoun kay Faheem Saleeha ko baaho main lay ker surgoeshya kum aur us ke bari bari aankhain zayadaeh choom reha hota thaa.
Tabasum beghum kay sirf do bachay thay, Faheem aur Nermeen. Un kay khawand ko foat howay paanch saal honay ko thay. Aaj kul Tabasum beghum ko aik aese bahu ke talaash thee jis ka taluq gharib geranay say hu aur woh bahu kay saath jasa merzi salook kerain koe pichay say poachnay na aey. Un kay khayal main un ke bahu waajbi see chakal ke honi chahyay thee taa kay un ka eklota beta kahi apni hoor pari bewi kay husan main khoo ker maa ko he na bhool jaey.
Un ke talaash khatam hu gae jub unhu nay aik shadi per Saleeha ko dekha aur pata chala kay us ka sirf aik bhae aur aik bhabhi hain pori dunya main aur bhabhi ko apni nend aik aankh nahi baati thee. Shakal tu wajbi see thee Saleeha ke leaqin us ke kali bari bari aankhain ajab see kashish us kay ander paeda kerti thee.
Suhaag raat ko Faheem nay pehli dafa Saleeha ko dekha thaa aur woh masoom se bari bari aankho wali larki usay pasand aaye thee leaqin chunkay dono kay maashi halat main zameen asmaan ka farq thaa es liyay woh nachahtay howay be Saleeha say itna gulmil nae pata thaa.
Shaadi kay kuch dinu baad he Faheem ko maa aur behan nay petya perhana shoro ker de thee leaqin bohat jald ussay ehsaas hu gya thaa kay maa aur behan jhoot bolti hain. Woh kamray say bahir hota tu maa aur behan khoob kaan berti jub kay kamray kay ander jata tu muskarati howe Saleeha us ka estaqbaal kerti leaqin us ke soji howe bari bari aakhain us kay ander ka dukh bayaan kerti thee. Aik din aakhar Saleeha ko us ke hamoshi ka sila mil gya aur aaj Faheem nay be us ke muskarahat kay jawab main moskarahat de thee aur phir usay apni baaho main lay leya thaa. Aaj us ke bari bari aankhain dopeher ko ronay ke waja say he nahi bulkay Faheem kay baytahasha chomnay ke waja say be soji howe thee.