Youn Tau Ham Roz Sajaate Hain Bazam Teri Sanam !!!

Youn tau ham roz sajaate hain bazam teri sanam

Chaudvien raat ko khas ehtamam karte hain


Dil tau karta hai magar jaate nahin maikhane mein

Khyalon mein, teri aankhon se jaam bharte hain


Jala jala tamaam raat aansouon ke diye

Tumhare naam hi woh shab tamaam karte hain


Rubaru chaand ke,utthae haath aasman ki taraf

Dua-e-wassal hi har ghaam ghaam karte hain


Tumhari yaad mein ham haalat-e-sakta mein

Jhank kar dil mein, tujh se kalaam karte hain


Shiddat mein teri yaad ki, apni rooh ko

Sarkashi ghode ki tarah, be laghaam karte hain


Be qarari ke samundar mein gharak ho kar

Hijar mein rehte, pal bhar na araam karte hain(mkm)

======================================

                ishpreetjassal1@yahoo.com
=====================================